v9y / giit

ISB source files for giitaayan
https://www.giitaayan.com
6 stars 4 forks source link

[Lyrics correction] 145: achchhaa unhe.n dekhaa hai (Submitted by Vijay Kumar K) #74

Closed v9y closed 5 years ago

v9y commented 5 years ago

Song's giitaayan URL: http://www.giitaayan.com/viewisbsong.asp?id=145

From Vijay Kumar K: "FITB: Added one missing stanza and made other corrections"

Updated lyrics:

achchhaa unhe.n dekhaa hai biimaar huii aa.Nkhe.n murjhaaii sii rahatii hai ghabaraaii sii rahatii hai.n maashuuko.n kii mahafil me.n sharmaaii sii rahatii hai.n kyaa jaane huaa kyaa hai patharaaii sii rahatii hai.n achchhaa unhe.n dekhaa biimaar huii aa.Nkhe.n

shokhii bhii luTaa baiThii.n mastii bhii luTaa baiThii.n uThatii hai na jhukatii hai.n kyaa rog lagaa baiThii.n e yaar kyaa rog lagaa baiThii.n ki biimaar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa biimaar huii aa.Nkhe.n

kis tarah haTe dar se vaadaa hai sitamagar se kahatii hai lagan dil kii vo chal bhii chuke ghar se hai faasalaa dam bhar kaa phir dekh samaa ghar kaa vo hilane lagii chilaman vo pardaa-e-dar sarakaa lo aa hii gayaa koii e yaar lo aa hii gayaa koii lo chaar huii aa.Nkhe.n sarashaar huii aa.Nkhe.n sarashaar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa biimaar huii aa.Nkhe.n

vo naqaab ruK se uThaae kyo.n vo bahaar-e-husn luTaae kyo.n sar-e-bazm jalvaa dikhaae kyo.n tumhe.n a.Nkha.Diyo.n se pilaae kyo.n ke vo apane nashe me.n chuur hai jo nashe me.n chuur rahe sadaa use terii haal kaa kyaa pataa rahaa yuu.N hii dil kaa mu_aamalaa magar usakii koii nahii.n Kataa terii aa.Nkh kaa ye kasuur hai aa.Nkho.n pe pa.Daa pardaa e yaar aa.Nkho.n pe pa.Daa pardaa laachaar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai biimaar huii aa.Nkhe.n

hamane aaj ek Kvaab dekhaa hai Kvaab bhii laajavaab dekhaa hai koii taabiir is kii batalaao raat ko aaftaab dekhaa hai yaanii zi.ndaa sharaab dekhoge husn ko be-naqaab dekhoge raat ko aaftaab dekhaa hai subah ko maahataab dekhoge chaa.Ndanii me.n uThii ghaTaa jaise dar-e-mayaKaanaa khul gayaa jaise ye fasaanaa sahii hasii.n to hai nashe me.n rach ga_ii adaa jaise

ko_ii tum saa bhii ho naa diivaanaa tum haqiikat ko samajhe afasaanaa chaa.Ndanii us kaa ra.ng zulf ghaTaa aur aa.Nkhe.n hai.n jaise maikhaanaa mayaKaane me.n pahu.Nchii to e yaar mayaKaane me.n pahu.Nchii to mayaKvaar huii aa.Nkhe.n mayaKvaar huii aa.Nkhe.n, gul_naar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai biimaar huii aa.Nkhe.n

sunate hai.n us dar pe jaake sar jhukaanaa manaa hai sar jhukaa bhii le.n agar to baiTh jaanaa manaa hai baiTh bhii jaaye.n kisii kone me.n to kyaa faayadaa? jis taraf vo ho.n udhar nazare.n uThaanaa manaa hai aur agar nazare.n uThe.n to dard-e-dil ko kyaa kare.n? dard-e-dil kaise miTe aa.Nsuu bahaanaa manaa hai aur agar aa.Nsuu bahaaye.n bhii to vo dekhe.nge kyo.n? aah bharanaa shor karanaa gul machaanaa manaa hai gul machaayaa bhii to matalab kis tarah samajhe.nge vo haay ! matalab saaf-saaf un ko bataanaa manaa hai aur agar matalab bataayaa to bhii to vo de.nge javaab dil lagaayaa tum ne kyo.n jab dil lagaanaa manaa hai

dil kaa na kahaa maanaa e yaar dil kaa na kahaa maanaa gaddaar huii aa.Nkhe.n

gaddaar huii aa.Nkhe.n laachaar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai laachaar huii aa.Nkhe.n laachaar huii aa.Nkhe.n mayaKvaar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai mayaKvaar huii aa.Nkhe.n mayaKvaar huii aa.Nkhe.n gul_naar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai gul_naar huii aa.Nkhe.n gul_naar huii aa.Nkhe.n sarashaar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai sarashaar huii aa.Nkhe.n

achchhaa unhe.n dekhaa hai

morosebose commented 5 years ago

I'd never heard (of) this song before. Can't say that my life has been deeply enriched by the experience of hearing it. Nevertheless, file edited, commit made, PR issued.

v9y commented 5 years ago

This used to get good air time on radio when I was growing up. I rather like the song. It reminds me of Haqeeqat's 'hoke majabuur mujhe'.

morosebose commented 5 years ago

Interesting. I remember the other songs of Shankar Hussain getting a lot of airtime ("apane-aap raato.n me.n", "aap yuu.N faasalo.n se", and particularly "kahii.n ek maasuum naazuk-sii la.Dakii") but this one, not at all.